page contents Poetry With Pic: Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi ….

Sunday, 5 October 2014

Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi ….

Photo: Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi ….
Jaanay Kis Kis Ke Ghar Gayi Hogi …..

Chandni Ek Shab Ki MehmaaN thi…..
Subah Hotay Hee Mar Gayi Hogi……

Dair Tak Wo Khafa Raha Hai Mujh se….
Door Tak Ye Khabar Gayi Hogi……

Ik Darya Ke Rukh Badaltay Hee….
Ik Nadi Phir Utar Gayi Hogi……

Jis Taraf Wo SafaR Pe Nikla Tha…..
Saari RonaQ udhar Gayi Hogi…..

Meri YaadoN Ki Dhoop Chaaon Mein….
Oski Soorat Nikhar Gayi Hogi…..

Ya Ta’luq Na Nibh Saka Os se….
Ya TAbiyat Hee Bhar Gayi Hogi…..!
Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi ….
Jaanay Kis Kis Ke Ghar Gayi Hogi …..

Chandni Ek Shab Ki MehmaaN thi…..
Subah Hotay Hee Mar Gayi Hogi……

Dair Tak Wo Khafa Raha Hai Mujh se….
Door Tak Ye Khabar Gayi Hogi……

Ik Darya Ke Rukh Badaltay Hee….
Ik Nadi Phir Utar Gayi Hogi……

Jis Taraf Wo SafaR Pe Nikla Tha…..
Saari RonaQ udhar Gayi Hogi…..

Meri YaadoN Ki Dhoop Chaaon Mein….
Oski Soorat Nikhar Gayi Hogi…..

Ya Ta’luq Na Nibh Saka Os se….
Ya TAbiyat Hee Bhar Gayi Hog

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments