page contents Poetry With Pic: Suhaag Raat Ki Kahani

Wednesday, 25 March 2015

Suhaag Raat Ki Kahani

Shaadi Ke Baad Pehli Raat
====================
Shadi karna sunnat hai aur islam ka ek hissa hai. Isliye har insan ko shadi karna chahiye. Bagher kisi jaiz wajah ke agar koi shaadi nahi kar raha ya der se kar raha hai to ye islam ke khilaf hai.
Jin logo ki shadi hone wali hoti hai, unme se bahut se logo ke dimaag mein kuch sawal hote hain ki islam ke hisab se shaadi ke baad ki pehli raat ko kya karna chahiye, ya iska sahi tarika kya hai.
Hum yaha pehli raat ki kuch baat karege, lekin ye baat sirf islam sikhne ki niyat se padhiye, dil mein kuch gandagi na rakhiyeaur na koi galat comment karna. Hamara maksad sirf un logo ko islam ka tarika batana hai jinko is baare mein maalumaat kam hai.

Shaadi ke baad jab ladka room mein jaaye to sabse pahle salam kare, kheriyat maalum kare aur thodi baat karne ke baad ladki ki peshani (forehead) ke baal sidhe haath ahista se pakadiye aur ye dua padhe. Hadees dekhiye, Hazrat Muhammad (sallallaho alayhi wasallam) ne irshad farmaya : jab koi shaks nikah kare aur pehli raat (suhag raat) ko apni dulhan ke paas jaye to narmi ke sath uski peshani ke thode se baal apne sidhe hath me le kar yah duwa padhe :'Allahumma in'ni as'a'luka min khai'riha wakhai'ri ma fiha wakhairi ma jabalta'ha alai wa a'udhu bika min shar'riha washar'ri ma fiha wa sharri ma jabalta'ha alai'
(tarjuma : ae Allah me tujse iski (apni biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri panah chahta hu iski burai aur fitari aadato ki burai se.
(Abu Dawood : jild-2,page-150, Hasne Hasin : page-164)
(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 473)
Peshani ke baal pakad kar dua karne se pahle apni biwi ko ye bata sakte hain ki ye hamare aaqa Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwsallam) ka hukm hai, warna jis ladki ko nahi maalum ho wo kuch galat na sochne lage.
Iske baad agar wuzu na ho to wuzu kar lijiye aur 2 rakat namaz nafal, Allah ka shukr ada karne aur usse dua karne ke liye padhiye, Namaz is tarah padhiye (jamat bana kar) ki ladka aage imam ban kar khada ho aur ladki uske piche khade ho jaaye. Dono saath namaz padhe. namaz ki niyat : niyat ki maine 2 rakat namaz nafil shukrane ki waste Allah ta'ala ke rukh mera kaaba sharif ke taraf Allaho Akbar. fir humesha jaise namaz padhte ho waise hi namaz padhe Aur namaz ke baad Shaadi saath kheriyat se hone ke liye Allah ka shukr ada kijiye aur ye dua kariye ki Allah is shaadi ko kaamyab banaye, aage bhi hansi-khushi rakhe, bacche nek de, aur is tarah bhi duwa kar sakte hain "ae ALLAH tera shukra aur ehsan hai ki tune hume ye din dikhaya aur hume is khushi wa ne'amat se nawaza aur hume apne Habib sallallaho alayhi wasallam ki sunnat par amal karne ki taufiq ata farmayi. aye Allah humari is khushi ko humesha isi tarah kayam rakh. hume mel-milap pyar muhabbat ke sath zindagi gujarne ki taufiq ata farma. ae Rabbe Qadir hume nek farmabardar aulad ata farma. AAMIN, aur iske alawa jo bhi aap shaadi ki kaamyabi ke liye dua karna chahe kar sakte hain. Dua ke pahle aur aakhir mein darud sharif padh lijiye.
Namaz ke baad kisi bhi kaam mein jald-baazi na karen, balki ladki se is tarah baat kariye ki uski thodi jhijhak door ho jaaye. Thoda apne baare mein baat kariye thoda uski suniye. Jab ladki ki thodi jhijhak door ho jaaye to aur aap saath mein sone ka irada karen to usse pahle ye dua padh lijiye.
"Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana (Tarjuma: "ALLAH ke naam se. Ae ALLAH door kar hamse shaitan mardud ko aur door kar shaitan mardud ko us Aulad se jo tu hame ata karega")
"Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi hai) to ALLAH us padhne wale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega"
(Bukhari shareef Jild 3,Safa 85, Tirmizi shareef,Jild 1,Safa 557)
Note : Ye yaad rakhiye ki jo peshani ke baal pakad kar dua karna hai wo sirf pehli raat mein hi padhna hai aur ek hi baar padhna hai, lekin ye waali dua ("Bismillah, Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana) aapko hamesha padhna, jab bhi biwi ke saath sone ka irada ho usse pahle is dua ko padhna zaruri hai, chhoti si dua hai, 4-5 baar padhne se yaad ho jaayegi, agar is dua ko padhe bagher aap biwi ke saath sote hain to ho sakta hai ki shaitan/jinn bhi aapke saath-saath aapki biwi se sohbat kar le. Is dua ko padhne se Allah hifazat farmata hai.
Miya biwi ka saath mein sone ka sahi tarika ye hai ki dono ek dusre ke badan ko bila zarurat na dekhe, Hazrate Ayesha siddiqa farmati hai jiska mafhum hai ki "Hazrat Muhammad (sallallhau alyhiwasallam) ne na kabhi unke badan ko dekha na unhone".
Saath mein sote time bila zarurat baat na karen, aur jab saath mein soye to apne upar ek chadar daal len (yaani pura badan khula na rahe). Porn film ko dimaag se nikaal den kyonki wo veshya (prostitute) hoti hain aur ye aapki biwi hai, isliye sirf islami tarike ke hisab se hi saath mein soyen.
(1) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
Pakhane ki jagah me Aurat se Sohbat (sex) karna haram hai
(2) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
Jisne Aurat ya Mard se uske piche ke mukam se sohbat (sex) ki usne yakinan kufr kiya (Abu Dawood Shareef)
(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya:
ALLAH Qayamat ke din aese shaks ki taraf nazre rehmat nahi farmayega. Jisne apni Aurat ke piche ke raaste se sohbat ki
(Bukhari shareef,Tirmizi shareef ,Ibne maja Shareeef)
Isliye biwi ke saath jaanwaro jesa kaam na karen, short mein mera matlab hai ki porn movies jesa kuch na karen. Balki sirf islami tarike se saath mein soiye.
Jab aurat ka mahina (haiz/maahvaari) ho us time uske saath let-beth sakte hain, kiss kar sakte hain lekin sex nahi kar sakte, jab tak ki wo ghusl karke paak na ho jaaye. Isi tarah roza ki haalat mein saath nahi so sakte, lekin peshani (forehead) par kiss kar sakte hain. roza kholne ke baad so sakte hain, Shaadi baad ladka-ladki ko ek dusre ki zarurato bhi samajhna chahiye ki hamara saathi kab kya chah raha hai.
Bahut se logo ko ye galat fahmi hoti hai ki agar shadi ke baad pehli raat mein miya biwi saath nahi soe to dusre din walima nahi ho sakta, Jabki aesa kuch bhi nahi hai, bagher saath soe bhi walima kiya ja sakta hai.
Ek aur zaruri baat ye thi ki ladka ho ya ladki koi bhi apne dost/saheli ko apni raat ki baat na batae, aksar dekhne mein aaya hai ki subah ladki ko uski saheli pakad leti hai aur ladke ko uske dost, aur wo unse raat ki baat puchte hain, lekin islam mein is baat ko bahut sakhti se mana kiya gaya hai ki koi apni personal baat apne dosto/saheli ko bataye aur ye ek gunah bhi hai. Is baat ka ek duniywai nuksan ye bhi hai ki agar koi dulha apne dost ko raat ki baat suna deta hai to phir baad mein uski bhabi jab bhi uske saamne aayegi usko dulha ki sunai hue baat yaad aa jaayei aur ho sakta hai wo imagine bhi karne lage. Isliye is burai se bachiye. Aur apni biwi ko khud beizzat na kariye. Ladki ko bhi apni saheliyo ko kuch baat nahi batana chahiye.
Ladka aur ladki ko is baat ki jaankari hona chahiye ki jab dono ek saath so lete hain to islam ki nazar se dono naa-paak ho jaate hain, naa-paak hone ke baad dono na namaz padh sakte hain na quran sharif ko haath laga sakte hain, isliye saath mein sone ke baad ghusl karna (nahana) zaruri hai, ghusl jitni jaldi kar lo utna accha hai. Ghusl sirf saade nahane ko nahi kahte balki ghusl ka ek khaas tarika hota hai. Ghusl sunnat tarike se bhi ho jaata hai aur agar sirf uske farz bhi pure kar liye to ghusl ho jaayega, Mujhe jo aasan tarika laga mein wo bata raha hu.
Sabse pahle dil mein niyat kar lijiye ki mein naa-paaki ko door karne ke liye ghusl kar raha hu (lafz muh se kehna zaruri nahi dil mein irada kar lena kaafi hai). Ab apne badan ki wo jagah dho lijiye jaha gandagi lagi hai, phir jese wuzu karte hain, pura wuzu kar lijiye, lekin ghusl ke wuzu mein garare karna zaruri hai (agar roza ho to garara na karen). Jab pura wuzu kar chuke to 3 baar sar par paani daaliye, phir 3 baar sidhe kaandhe par paani daaliye, phir 3 baar ulte kaahnde par paani daaliye, iske baad pure badan par paani bahaiye, aur phir pure badan ko haath se ragadiye, agar saabun (soap) laga rahe ho to yu bhi ragadna ho jaata hai isliye phir alag se ragadne ki zarurat nahi, ragadne ki wajah ye hai ki pure badan par paani fel jaaye, ek baal ke barabar bhi jagah sukhi na rahe, agar sukhi rah gai to ghusl complete na hoga. isliye har jagah paani pahuchane ki koshish kariye, apni baglo mein, baalo mein, pet ki naaf mein, taango ke beech mein piche ki taraf aur aage ki taraf, yaani sab jagah paani pahuch jaaye, ladkiya apne kaano ki baaliyo aur naak ki nath ko paani daal kar ghumaye taaki paani andar tak chala jaaye, agar anguthi pahani hain to anguthi ko aage piche kare. Jab ye yakeen ho jaaye ki paani sab jagah pahuch gaya aur koi bhi hissa sukha na raha to ab aapka ghusl ho gaya. aur aap paak ho gaye. Agar ladki ne nail-polish laga rakhi hai to uska naakhun se saaf karne ke baad hi ghusl kare kyonki nail-polish ki wajah se naakhun sukhe rah jaate hain isliye ghusl nahi ho paata. Agar ghusl ka jo tarika hai wesa ghusla na kiya gaya to insan agar pure samudra (dariya) ke paani se bhi naha le to paak nahi hoga.
(1) Islam ke hisab se, jab tak ladka-ladki ki shaadi na hue thi tab tak unka ek dusre ko pyar se dekhna, pyar se baat karna ye sab gunah tha, lekin jab unki shadi ho gai to ab in dono ka pyar se baat karna, saath mein acche se rahna, ek dusre ko pyar karna sab sawab ban jata hai.
(2) Jab miya biwi ek dusre ko pyar ki nazar se muskura kar dekhte hain to Allah dono ko muskura kar dekhta hai.
Allah insan se har pal ka hisab se lega, lekin kuch kaam aese hain jinke time ka hisab Allah nahi lega, usmein se ek miya-biwi ka saath bethna bhi hai.
(3) Agar kisi ladki se uska dulha naraz hokar so gaya to us ladki par farishte raat bhar laanat karte hain
(4) Ladke ko chahiye ki apni biwi ka hara tarah se dhyan rakhe, uski har sahi baat puri karne ki koshish kare. Usko khush rakhe.
Allah hum sabko sunnat tarike se har kaam karne ki taufik ata kare, Aameen.
Note: Jis kisi ko kuch confusion hai ya kuch aur zyada detail mein puchna chahta ho to iske liye comment nahi persona message kariye.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments