page contents Poetry With Pic: Kal ittifaqan mera apne Aaine se milna ho gaya

Wednesday, 20 November 2013

Kal ittifaqan mera apne Aaine se milna ho gaya

Kal ittifaqan mera apne Aaine se milna ho gaya
Usse dekhkar main rook gayi
Koi khayal mere dimaag mein chaunka
Aur maine usse poocha
Aap kuch jaane pehchaane se lagte hain
Kya hum mile hain pehle kabhi?

Aaina kuch nahin bola
Wo chupp raha
Aisa laga jaise keh raha ho

Haan tum janti ho mujhe
Aur main pehchaanta hoon tumhe
Tum aati thi mere paas
Apni khushiyan mere sath bantne
Apna dard mujhe batane
Apna ghum sunati thi mujhe kisi kahani ki tarah
Main chup chaap bina kuch bole tumhe sunta tha
Tum roti thi yahan aa kar….kahin aur nahin jati thi
Ghanton apne ashq sunati thi mujhe

Main manata tha tumhe
Chup karata tha tumhe
Ek main hi toh tha tera
Aur ek tu hi toh thi meri
Tu mujhse rooth_ti thi
Mujhe manati thi

Par abb tu nahin aati hai
Apne ashq mujhse bhi chhupati hai
Maine kahan kisi ko bataya ki tu aati thi
Mere gale lagkar tu roti thi

Phir tu kyun mujhse aaj naaraaz hai
Mujhe pehchan_ne se bhi anjaan hai
Tu aaj bhi aise hi chali jayegi
Main nahin rokoonga tujhe
Ek baat magar kehta hoon
Jis din yaad aa jaye ki main kaun hoon
Laut kar mujh takk jaroor aana

Maine apne Aaine ke samne khadi
Usski har baat suni…jo chup chap kahi usne

Aur ,
Sochne lagi "wafa"

….itna sab ho gaya mere sath?
….aur mujhe pata bhi na chala

Rafta rafta dard syahi mein ghul gaya “wafa”
Aur zindagi ka karz panno mein ada ho gaya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments