page contents Poetry With Pic: Behter Hai Ke Khud Rafuu Giri Sekhun Ke Aaj Tou

Tuesday 19 August 2014

Behter Hai Ke Khud Rafuu Giri Sekhun Ke Aaj Tou

Neela Mera Wajood Ghari Bhar Main Kar Gaya
Wo Zeher Ki Tarha Mere Dil Main Uter Gaya

Palkein Laraz Ke Reh Gayein Aur Deep Bujh Gaye,
Ilzaam Ab Ke Baar Bhi Aandhi Ke Ser Gaya

Ab Kis Liye Sambhaal Ke Rakhun Basaratein
Aankhon Se Khuwab Cheen Ke Jab Khuwab.ger Gaya

Us Se Bicher Ke Dil Ka Howa Hai Ajeeb Haal
Paane Ki Aarzo Gayi, Khone Ka Dar Gaya

Jab Mousamon Ne Phir se Baghawat Ki Thaan Li
Tehni Pe Phool Khilne Se Pehle Bikhar Gaya

Behter Hai Ke Khud Rafuu Giri Sekhun Ke Aaj Tou
Ghaao Khule He Choor Ke Wo Chaara.gar Gaya
 —
Photo: Neela Mera Wajood Ghari Bhar Main Kar Gaya
Wo Zeher Ki Tarha Mere Dil Main Uter Gaya

Palkein Laraz Ke Reh Gayein Aur Deep Bujh Gaye, 
Ilzaam Ab Ke Baar Bhi Aandhi Ke Ser Gaya

Ab Kis Liye Sambhaal Ke Rakhun Basaratein
Aankhon Se Khuwab Cheen Ke Jab Khuwab.ger Gaya

Us Se Bicher Ke Dil Ka Howa Hai Ajeeb Haal
Paane Ki Aarzo Gayi, Khone Ka Dar Gaya

Jab Mousamon Ne Phir se Baghawat Ki Thaan Li
Tehni Pe Phool Khilne Se Pehle Bikhar Gaya

Behter Hai Ke Khud Rafuu Giri Sekhun Ke Aaj Tou
Ghaao Khule He Choor Ke Wo Chaara.gar Gaya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments