page contents Poetry With Pic: Maskan-e-maah-o-saal chhor gayaa

Thursday, 21 August 2014

Maskan-e-maah-o-saal chhor gayaa

Maskan-e-maah-o-saal chhor gayaa
Dil ko us kaa khayaal chhor gayaa

Taazah-dam jism-o-jaan the furqat men
Vasl us kaa nidhaal chhor gayaa

Ahd-e-maazii jo thaa ajab purhaal
Aik viiraan haal chhor gayaa

Zaala-baarii ke marhalon kaa safar
Qaafile, paayemaal chhor gayaa

Dil ko ab ye bhii yaad ho ke na ho
Kaun thaa , kyaa malaal chhor gayaa

Main bhii ab khud se huun javaab-talab
Vo mujhe be-savaal chhor gayaa

Photo: Maskan-e-maah-o-saal chhor gayaa
Dil ko us kaa khayaal chhor gayaa

Taazah-dam jism-o-jaan the furqat men
Vasl us kaa nidhaal chhor gayaa

Ahd-e-maazii jo thaa ajab purhaal
Aik viiraan haal chhor gayaa

Zaala-baarii ke marhalon kaa safar
Qaafile, paayemaal chhor gayaa

Dil ko ab ye bhii yaad ho ke na ho
Kaun thaa , kyaa malaal chhor gayaa

Main bhii ab khud se huun javaab-talab
Vo mujhe be-savaal chhor gayaa

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments