page contents Poetry With Pic: Hamaaray Saamnay Tha Ek Kaaba-e-Ulfat

Friday, 5 September 2014

Hamaaray Saamnay Tha Ek Kaaba-e-Ulfat

Na Ruk Sakay Ga Kubhi Silsila Mohabbat Ka
Khuda Ka Khalq Hai Raabta Mohabbat Ka

Thay Mere Chehray Pe Bhee Khaal-o-Khad Mohabbat Ke
Ke Mere Saamnay Tha Aaina Mohabbat Ka

Jahaan Ruki Mein, Wohi Manzil-e-Mohabbat Thi
Chali Tou Saath Chala Raasta Mohabbat Ka

Jahaan Andheray Nazar Aaye Nafraton Ke Mujhe
Jalaa Dia Hai Waheen Per Diaa Mohabbat Ka

Hamaaray Saamnay Tha Ek Kaaba-e-Ulfat
So Ham Ne Bhee Wahan Sajda Kia Mohabbat Ka

Hamain Khabar Hai Ya Phir Hai Khabar Mohabbat Ko
Jo Qarz Ham Ne Kia Hai Adaa Mohabbat Ka

Wafaa Ka Badlaa Wafa Hee Hai Shahida Tasneem
Hai Pur-Khuloos Mohabbat Silaa Mohabbat Ka
Photo: Na Ruk Sakay Ga Kubhi Silsila Mohabbat Ka

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments