page contents Poetry With Pic: Meri Misaal Ki Ik Nakhl-E-Khushk-E-Saharaa Hoon,

Sunday 14 September 2014

Meri Misaal Ki Ik Nakhl-E-Khushk-E-Saharaa Hoon,

Hui Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tuu,
Kahaan Gaya Hai Mere Shahr Ke Musaafir Tuu,

Bahut Udaas Hai Ik Shakhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake To Chalaa Aa Usi Ki Khaatir Tuu,

Meri Misaal Ki Ik Nakhl-E-Khushk-E-Saharaa Hoon,
Tera Khayaal Ki Shaakh-E-Chaman Ka Taair Tuu,

Main Jaanta Hoon Ke Duniya Tujhe Badal Degi,
Main Maanta Hoon Ke Aisa Nahin Bazaahir Tuu,

Hansi Khushi Se Bichhar Jaa Agar Bicharna Hai,
Ye Har Maqaam Pe Kya Sochta Hai Aakhir Tuu..
 —
Photo: Hui Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tuu,
Kahaan Gaya Hai Mere Shahr Ke Musaafir Tuu,

Bahut Udaas Hai Ik Shakhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake To Chalaa Aa Usi Ki Khaatir Tuu,

Meri Misaal Ki Ik Nakhl-E-Khushk-E-Saharaa Hoon, 
Tera Khayaal Ki Shaakh-E-Chaman Ka Taair Tuu,

Main Jaanta Hoon Ke Duniya Tujhe Badal Degi,
Main Maanta Hoon Ke Aisa Nahin Bazaahir Tuu,

Hansi Khushi Se Bichhar Jaa Agar Bicharna Hai,
Ye Har Maqaam Pe Kya Sochta Hai Aakhir Tuu..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments