page contents Poetry With Pic: Qaraar ik pal nahi hai us ke bagher Arshad,

Saturday, 13 September 2014

Qaraar ik pal nahi hai us ke bagher Arshad,

Tumhare barey mein hum ne jtne bhi khawab dekhe,
Yeh khawab kab they dar-haqeeqat azaab dekhe,

Tumhare chehere ki chandni pe nazar ho jis ki,
Woh kese mumkin hai jalwaa mahtaab dekhe,

Yeh kher-o-shar ki tameez apni jagha hai lekin,
Jinon mein kis ne gunah dekhe sawaab dekhe,

Hamare honton pe peyas ab tak sajji huyi hai,
Tumhari chahat mein hum ne kya kya saraab dekhe,

Mere chaman me hai zard mausam ki hukmrani,
Zamana guzra hai koi taaza gulaab dekhe,

Teri nigahon ne mast-o-bekhud kiya hai warna,
Sharab dekhi na hum ne jaam-e-sharab dekhe,

Qaraar ik pal nahi hai us ke bagher Arshad,
Judai mein uski hum ne kitne azaab dekhe..
 — 

Photo: Tumhare barey mein hum ne jtne bhi khawab dekhe,

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments