page contents Poetry With Pic: Dil cheer ke dikhla dain ik naam tumhara hay

Thursday, 2 October 2014

Dil cheer ke dikhla dain ik naam tumhara hay

Hum ab bhe jo zinda hain ehsaan tumhara hay

Jab chhup chhup rotay hain niendon ko tarastay hain
Aisay main humain teri yaadon ka sahara hay

Kehtay hain mohabbat main jaan daitay hain dil walay
Iss rah saiy guzernay ka armaan humara hay

Ab beech sumandar main aaiy hain tau kiya sochain
Kis simt koe kishti kis simt kinara hay

Koch phool k patton main kaantay bhe tau hotay hain
Phir kiya hay ghalat jeewan hum nay jo guzara hay

Manzil he nehi paatay jo chuntay hain rah-e-ishq
Iss payar ke baazi main ik roz khasara hay

Ik rog hay tanhaie ik rog mohabbat hay
Donon ke qarabat nay ik shakhs ko maara hay

Hum dard k maron ke pooch na khaber shaukat
Din raat tarapnay main bas apna guzara hay

Photo: Dil cheer ke dikhla dain ik naam tumhara hay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments