page contents Poetry With Pic: Ghazal Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,

Thursday, 2 October 2014

Ghazal Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,

Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,
Jab Woh Khiltey Gulaab Jaisa Tha,,
Uss Ki Palkon Sey Neend Channti Thi,,
Uss Ka Lehja Sharaab Jaisa Tha,,
Uss Ki Zulfon Sey Bheegti Thi Ghatta,,
Uss Ka Rukh Mahtaab Jaisa Tha,,
Loug Padhtey Thy Khad-o-Khaal Uss Ke,,
Woh Adab Ki Kitaab Jaisa Tha,,
Bolta Tha Zabaan Khushboo Ki,,
Loug Sunntey Thy Dhadhkano Mai Ussey,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,
Saari Aankhein Thi Aainey Uss Ke,,
Saarey Chehr'on Mai Inthikhaab Tha Woh,,
Sub Se Ghul Mil Ke Bhi Ajnabi Rehna,,
Ek Duniya Numaa Saraab Tha Woh,,
Khuwaab Yeh Ke Woh Haqeeqat Tha,,
Hai Haqeeqat Ke Koi Khuwaab Tha Woh,,
Dil Ki Dharti Pey Aasmaan Ki Tarah,,
Soorat-e-Saaya-o-Shab Tha Woh,,
Apni Neendein Uss Ki Nazar Hui,,
Main Ney Paaya Tha Ratt'Jaggo Mai Ussey,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,
Jab Woh Hans Hans Ke Baat Karta Tha,,
Dil Ke Khaimey Mai Raat Karta Tha,,
Rung Padhtey Thy Aanchal'on Mai Ussey,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,
Yeh Magar Dair Ki Kahaani Hai,,
Yeh Magar Dard Ka Fasaana Hai,,
Uss Ke Mere Milaap Mai Haayil,,
Ab Tou Saddiyon Bhara Zamaana Hai,,
Ab Tou Yoon Hai Ke Haal Apna Bhi,,
Dasht-e-Hijraan Ki Shaam Jaisa Hai,,
Kya Khabar Inn Din'on Woh Kaisa Hai,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey...!!
 —
Photo: Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,
Jab Woh Khiltey Gulaab Jaisa Tha,,
Uss Ki Palkon Sey Neend Channti Thi,,
Uss Ka Lehja Sharaab Jaisa Tha,,
Uss Ki Zulfon Sey Bheegti Thi Ghatta,,
Uss Ka Rukh Mahtaab Jaisa Tha,,
Loug Padhtey Thy Khad-o-Khaal Uss Ke,,
Woh Adab Ki Kitaab Jaisa Tha,,
Bolta Tha Zabaan Khushboo Ki,,
Loug Sunntey Thy Dhadhkano Mai Ussey,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,
Saari Aankhein Thi Aainey Uss Ke,,
Saarey Chehr'on Mai Inthikhaab Tha Woh,,
Sub Se Ghul Mil Ke Bhi Ajnabi Rehna,,
Ek Duniya Numaa Saraab Tha Woh,,
Khuwaab Yeh Ke Woh Haqeeqat Tha,,
Hai Haqeeqat Ke Koi Khuwaab Tha Woh,,
Dil Ki Dharti Pey Aasmaan Ki Tarah,,
Soorat-e-Saaya-o-Shab Tha Woh,,
Apni Neendein Uss Ki Nazar Hui,,
Main Ney Paaya Tha Ratt'Jaggo Mai Ussey,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,
Jab Woh Hans Hans Ke Baat Karta Tha,,
Dil Ke Khaimey Mai Raat Karta Tha,,
Rung Padhtey Thy Aanchal'on Mai Ussey,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey,,,
Yeh Magar Dair Ki Kahaani Hai,,
Yeh Magar Dard Ka Fasaana Hai,,
Uss Ke Mere Milaap Mai Haayil,,
Ab Tou Saddiyon Bhara Zamaana Hai,,
Ab Tou Yoon Hai Ke Haal Apna Bhi,,
Dasht-e-Hijraan Ki Shaam Jaisa Hai,,
Kya Khabar Inn Din'on Woh Kaisa Hai,,
Main Ney Dekha Tha Unn Din'on Mai Ussey...!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments