page contents Poetry With Pic: Bhoole Na Kisi Haal Me Aadaab-e-Nazar Hum.

Thursday, 18 December 2014

Bhoole Na Kisi Haal Me Aadaab-e-Nazar Hum.

Bhoole Na Kisi Haal Me Aadaab-e-Nazar Hum.
Mur Kar Na Tujhe Dekh Sake Waqt-e-Safar Hum.

Ay Hussn! Kisi Ne Tujhe Itnaa Tu Na Chaaha.
Barbaad Huwa Tere Liye Kon Magar Hum.

Jeene ka Hamein Khud Na Mila Waqt Tu Kya Hai.
Logon ko Sikhlaate Rahe Jeene Ka Hunar Hum.

Ab Tere Taalluq Se Hamein Yaad Hai Itna.
Aik Raat ko Mehmaan Rahe Thay Tere Ghar Hum.

Dunya Ki Kisi shaan Se Dhundla Nahi Sakta.
Aankhon Me Liye Phirte Hain jo Khuwaab-e-Sehar Hum.

Wo Kon Si Aahat Thi Jo Khuwaabon Me Dar Aayi.
Kya Jaaniye Kiun Chaunk Parre Pichle Pehar Hum.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments