page contents Poetry With Pic: Aalam-e-Hijr Mein Soyaa Hoon, Na Sona Chahoon

Saturday 25 August 2012

Aalam-e-Hijr Mein Soyaa Hoon, Na Sona Chahoon


Aalam-e-Hijr Mein Soyaa Hoon, Na Sona Chahoon
Main Teri Zaat Se Mayoos Hoon, Na Hona Chahoon,

Gul Tere Dil Mein Khilen Aur Mahek Jaaon Main
Isi Rishte Mein Har Insaan Ko Perona Chahoon,

Kiyoon Gawaara Ho Tere Dard Mein Bhi Shirkat-e-Ghair
Tu Jo Yaad Aaye To Tanhaaie Mein Ronaa Chahoon,

Justaju Kay Liye Rehta Hai Bahaana Darkaar
Kho Kay Paaya Jise, Paa Kar Usay Khona Chahoon,

Chaa Raha Hai Mere Andar Gham-e-Anjaam Ka Abar
Khush Bhi Hota Hoon To Aankhun Ko Bhegona

Chahoon,

Main Hoon Ek Tarfa Bhekaari, Koi Meri Bhi Suno
Raat Kay Farsh Pe Kirno Ka Bechonaa Chahoon,

Yoon To Phool Ki Ek Patti Se Bahel Jaata Hoon
Main Machal Jaaon To Sehraa Ka Khelona Chahoon,

Mera Mansab Nahi Peghambar-e-Fun Banane Ka
Main To Ehsaas Ko Lafzun Mein Samona Chahoon,

Is Zmaane Ka Ajab Tarz-e-Tasawof Hai "Nadeem"
Main Qatre Mein Samundar Ko Dabona Chahoon.




1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Facebook Comments